kar-e-dil wahshat-talab hai sham tak pahuncha nahin
kār-e-dil vahshat-talab hai shaam tak pahuñchā nahīñ
'ishq sargarm-e-safar anjām tak pahuñchā nahīñ
shauq ko nākām is mā'nī meñ kah sakte haiñ aap
un ke dar tak to gayā thā baam tak pahuñchā nahīñ
yā ki daur-e-jām ko mahdūd hī rakkhā gayā
yā ki ḳhud dast-e-talab hī jaam tak pahuñchā nahīñ
shauq sargardāñ masāfat meñ tajassus ke rahā
āgahī tak to gayā ilhām tak pahuñchā nahīñ
maslahat-āgīñ huī har shai tumhāre shahr meñ
ruk gayā ḳhāma tumhāre naam tak pahuñchā nahīñ
jaane kyā kyā naam se duniyā tumheñ gardāntī
zikr terā gardish-e-ayyām tak pahuñchā nahīñ
varna rusvā.ī kā ho jaatā koī sāmāñ baham
'ishq 'shāriq' zaat tak thā naam tak pahuñchā nahīñ
kar-e-dil wahshat-talab hai sham tak pahuncha nahin
'ishq sargarm-e-safar anjam tak pahuncha nahin
shauq ko nakaam is ma'ni mein kah sakte hain aap
un ke dar tak to gaya tha baam tak pahuncha nahin
ya ki daur-e-jam ko mahdud hi rakkha gaya
ya ki KHud dast-e-talab hi jam tak pahuncha nahin
shauq sargardan masafat mein tajassus ke raha
aagahi tak to gaya ilham tak pahuncha nahin
maslahat-agin hui har shai tumhaare shahr mein
ruk gaya KHama tumhaare nam tak pahuncha nahin
jaane kya kya nam se duniya tumhein gardanti
zikr tera gardish-e-ayyam tak pahuncha nahin
warna ruswai ka ho jata koi saman baham
'ishq 'shaariq' zat tak tha nam tak pahuncha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.