kar-e-junun ki chaaragar kuchh tujhe aagahi nahin
kar-e-junun ki chaaragar kuchh tujhe aagahi nahin
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
kār-e-junūñ kī chārāgar kuchh tujhe āgahī nahīñ
dāman-e-tār-tār meñ kār-e-rafū-garī nahīñ
nāz-o-niyāz meñ kahāñ ālam-e-sarmadī nahīñ
husn bhī aarzī nahīñ ishq bhī aarzī nahīñ
terī talāsh meñ mujhe aur talāsh hī nahīñ
tere sivā koī mirā maqsad-e-zindagī nahīñ
jis se surūr dil meñ hai jis se ġhurūr sar meñ ho
ālam-e-bekasī meñ vo daulat-e-zindagī nahīñ
shān-e-vaqār-o-jāh agar bas kī nahīñ to kyā huā
ijz se kaam lījiye is meñ to ājizī nahīñ
aish kī sarḳhushī vabāl bazm-e-tarab kā rag rog
mahfil-e-soz-o-sāz meñ naġhma-e-zindagī nahīñ
naam hī naam rah gayā aap kī bazm-e-nāz kā
ab koī is ko kyā kahe chāñd hai chāñdnī nahīñ
sar pe khaḌī hai shām-e-ġham bujh ga.e aql ke charāġh
tīrgī-e-hayāt meñ ab koī raushnī nahīñ
ġhuncha-o-gul fasurda haiñ saarī fazā ḳhamosh hai
ḳhātir-e-ġham-navāz se ziist meñ tāzgī nahīñ
serī-e-zauq-e-dīd ko ab vo maqām chāhiye
ālam-e-hosh hai jahāñ ālam-e-be-ḳhudī nahīñ
apnī ravish se mutma.in 'ḳhushtar'-e-ḳhush-ḳhirām hai
apnoñ se ġhairiyat nahīñ ġhair se dushmanī nahīñ
kar-e-junun ki chaaragar kuchh tujhe aagahi nahin
daman-e-tar-tar mein kar-e-rafu-gari nahin
naz-o-niyaz mein kahan aalam-e-sarmadi nahin
husn bhi aarzi nahin ishq bhi aarzi nahin
teri talash mein mujhe aur talash hi nahin
tere siwa koi mera maqsad-e-zindagi nahin
jis se surur dil mein hai jis se ghurur sar mein ho
aalam-e-bekasi mein wo daulat-e-zindagi nahin
shan-e-waqar-o-jah agar bas ki nahin to kya hua
ijz se kaam lijiye is mein to aajizi nahin
aish ki sarKHushi wabaal bazm-e-tarab ka rag rog
mahfil-e-soz-o-saz mein naghma-e-zindagi nahin
nam hi nam rah gaya aap ki bazm-e-naz ka
ab koi is ko kya kahe chand hai chandni nahin
sar pe khaDi hai sham-e-gham bujh gae aql ke charagh
tirgi-e-hayat mein ab koi raushni nahin
ghuncha-o-gul fasurda hain sari faza KHamosh hai
KHatir-e-gham-nawaz se zist mein tazgi nahin
seri-e-zauq-e-did ko ab wo maqam chahiye
aalam-e-hosh hai jahan aalam-e-be-KHudi nahin
apni rawish se mutmain 'KHushtar'-e-KHush-KHiram hai
apnon se ghairiyat nahin ghair se dushmani nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.