kar-e-suKHan-arai hai tanhai hamari
kār-e-suḳhan-ārā.ī hai tanhā.ī hamārī
hangāma-e-aflāk hai shunavā.ī hamārī
ham ahl-e-sabā-ḳhānī-o-gul-kār haiñ phir bhī
hotī rahī is shahr meñ rusvā.ī hamārī
gaañv kī taraf naqsh-e-kaf-e-pā the hamāre
phir shahr-e-ḳhush-ābād ko yaad aa.ī hamārī
tum vāris-e-sahrā-e-numū-yās ho lekin
tābinda hai us ret pe harjā.ī hamārī
ik 'umr pas-e-nelmī parde meñ guzārī
tab jā ke zamīñ-zād ko baas aa.ī hamārī
bistar mirā qirtās hai misre haiñ mire ḳhvāb
takmīl-e-ġhazal hotī hai añgḌā.ī hamārī
kar-e-suKHan-arai hai tanhai hamari
hangama-e-aflak hai shunawai hamari
hum ahl-e-saba-KHani-o-gul-kar hain phir bhi
hoti rahi is shahr mein ruswai hamari
ganw ki taraf naqsh-e-kaf-e-pa the hamare
phir shahr-e-KHush-abaad ko yaad aai hamari
tum waris-e-sahra-e-numu-yas ho lekin
tabinda hai us ret pe harjai hamari
ek 'umr pas-e-nelmi parde mein guzari
tab ja ke zamin-zad ko bas aai hamari
bistar mera qirtas hai misre hain mere KHwab
takmil-e-ghazal hoti hai angDai hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.