kar-e-wahshat mein bhi majbur hai insan ab tak
Interesting Fact
October 1964
kār-e-vahshat meñ bhī majbūr hai insāñ ab tak
haath apnā hai aur apnā hī garebāñ ab tak
dhajjiyāñ mere garebāñ kī uḌī phirtī haiñ
gūñjtā hai mire na.aroñ se bayābāñ ab tak
kab se maiñ kunj-e-ġham-e-dil meñ chhupā baiThā huuñ
yaad kartī hai mujhe shorish-e-daurāñ ab tak
mere hisse meñ bhī hai daulat-e-bedārī-e-shab
ik ḳhalish sī hai matā-e-ġham-e-pinhāñ ab tak
but-kada TuuT ke ka.abe kī banā Daal gayā
dil jo ujḌā to hai ik umr se vīrāñ ab tak
tū guzargāh-e-tamannā meñ thā ik partv-e-māh
maiñ añdheroñ meñ bhaTaktā huuñ hirāsāñ ab tak
tū vo sūraj thā ki mausam kī na thī tujh ko ḳhabar
maiñ huuñ āñdhī meñ charāġh-e-tah-e-dāmāñ ab tak
mere ehsās kī garmī mire dil kī barsāt
sab ruteñ haiñ tirī āñkhoñ se numāyāñ ab tak
ek sūrat thī jo āñkhoñ meñ liye phirtā huuñ
ek vahshat thī jo rakhtī hai pareshāñ ab tak
chand yādeñ haiñ mirī ziist kā hāsil 'bāqar'
inhīñ yādoñ ke sahāre huuñ ġhazal-ḳhvāñ ab tak
kar-e-wahshat mein bhi majbur hai insan ab tak
hath apna hai aur apna hi gareban ab tak
dhajjiyan mere gareban ki uDi phirti hain
gunjta hai mere naron se bayaban ab tak
kab se main kunj-e-gham-e-dil mein chhupa baiTha hun
yaad karti hai mujhe shorish-e-dauran ab tak
mere hisse mein bhi hai daulat-e-bedari-e-shab
ek KHalish si hai mata-e-gham-e-pinhan ab tak
but-kada TuT ke kabe ki bana Dal gaya
dil jo ujDa to hai ek umr se viran ab tak
tu guzargah-e-tamanna mein tha ek partw-e-mah
main andheron mein bhaTakta hun hirasan ab tak
tu wo suraj tha ki mausam ki na thi tujh ko KHabar
main hun aandhi mein charagh-e-tah-e-daman ab tak
mere ehsas ki garmi mere dil ki barsat
sab ruten hain teri aankhon se numayan ab tak
ek surat thi jo aankhon mein liye phirta hun
ek wahshat thi jo rakhti hai pareshan ab tak
chand yaaden hain meri zist ka hasil 'baqar'
inhin yaadon ke sahaare hun ghazal-KHwan ab tak
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 122)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.