kar-gar dast-e-jafa-kar rahega kab tak
kar-gar dast-e-jafa-kar rahega kab tak
Prem Narayan Saxena Raz
MORE BYPrem Narayan Saxena Raz
kār-gar dast-e-jafā-kār rahegā kab tak
garm ye zulm kā bāzār rahegā kab tak
āh-o-fariyād se ik hashr bapā hai har samt
ḳhūñfishāñ ḳhanjar-e-zardār rahegā kab tak
ḳhāk-e-maqtal ke sulagte hue har zarre meñ
ḳhūn-e-mazlūm sharar-bār rahegā kab tak
asr-e-āzādī-o-jamhūr meñ haq-go insāñ
na.ara-e-haq se sar-e-dār rahegā kab tak
qalb-e-zardār meñ sarkūbī-e-muflis ke liye
taish kā lashkar-e-jarrār rahegā kab tak
na.ī tahzīb pe chhāyā huā zardār nizām
ḳhūn-e-muflis kā ḳharīdār rahegā kab tak
sang-e-ḳhārā kī tarah ahl-e-siyāsat kā vajūd
hā.il-e-jāda-e-fankār rahegā kab tak
zor-e-shamshīr se karne ko zamīñ ke TukḌe
aadmī barsar-e-paikār rahegā kab tak
tāqat-o-zar ke ḳhudāoñ ke jahāñ meñ insāñ
dekhnā ye hai ki ḳhud.dār rahegā kab tak
ho ke bebāk har ik rāz-e-haqīqat kah de
dām-e-bātil meñ giraftār rahegā kab tak
jis ne ulTī hai abhī chehra-e-māzī se naqāb
dil meñ vo jazba-e-bedār rahegā kab tak
kar-gar dast-e-jafa-kar rahega kab tak
garm ye zulm ka bazar rahega kab tak
aah-o-fariyaad se ek hashr bapa hai har samt
KHunfishan KHanjar-e-zardar rahega kab tak
KHak-e-maqtal ke sulagte hue har zarre mein
KHun-e-mazlum sharar-bar rahega kab tak
asr-e-azadi-o-jamhur mein haq-go insan
nara-e-haq se sar-e-dar rahega kab tak
qalb-e-zardar mein sarkubi-e-muflis ke liye
taish ka lashkar-e-jarrar rahega kab tak
nai tahzib pe chhaya hua zardar nizam
KHun-e-muflis ka KHaridar rahega kab tak
sang-e-KHara ki tarah ahl-e-siyasat ka wajud
hail-e-jada-e-fankar rahega kab tak
zor-e-shamshir se karne ko zamin ke TukDe
aadmi barsar-e-paikar rahega kab tak
taqat-o-zar ke KHudaon ke jahan mein insan
dekhna ye hai ki KHuddar rahega kab tak
ho ke bebak har ek raaz-e-haqiqat kah de
dam-e-baatil mein giraftar rahega kab tak
jis ne ulTi hai abhi chehra-e-mazi se naqab
dil mein wo jazba-e-bedar rahega kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.