karobar-e-zindagi se jis ka dil ghabraega
kārobār-e-zindagī se jis kā dil ghabrā.egā
yaar kī zulf-e-rasā ke saa.e meñ aa jā.egā
tazkira ruḳhsār kā yā zikr-e-zulf-e-yār ho
kaif āñkhoñ meñ yaqīnan kuchh na kuchh chhā jā.egā
jo manāzir aaj tak tum ne kabhī dekhe nahīñ
koī tum ko vo manāzir ek din dikhlā.egā
ab karam-farmā.iyāñ hoñ yā itāb-e-nāz ho
aap ke dast-e-karam se dil sila kuchh pā.egā
vaqt kī uljhī huī zulfeñ sañvāreñ kis tarah
ahl-e-dil ko ye salīqa ḳhud-baḳhud aa jā.egā
aap pahle hañs ke ġham khāte rahe 'sābir' magar
ab yahī ġham rafta rafta aap ko khā jā.egā
karobar-e-zindagi se jis ka dil ghabraega
yar ki zulf-e-rasa ke sae mein aa jaega
tazkira ruKHsar ka ya zikr-e-zulf-e-yar ho
kaif aankhon mein yaqinan kuchh na kuchh chha jaega
jo manazir aaj tak tum ne kabhi dekhe nahin
koi tum ko wo manazir ek din dikhlaega
ab karam-farmaiyan hon ya itab-e-naz ho
aap ke dast-e-karam se dil sila kuchh paega
waqt ki uljhi hui zulfen sanwaren kis tarah
ahl-e-dil ko ye saliqa KHud-baKHud aa jaega
aap pahle hans ke gham khate rahe 'sabir' magar
ab yahi gham rafta rafta aap ko kha jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.