karwan aaj bhi sargarm-e-safar hai shayad
kārvāñ aaj bhī sargarm-e-safar hai shāyad
ab bhī pur-pech koī rāhguzar hai shāyad
mo'tarif vo bhī haiñ kal tak jo muḳhālif the mire
ye mirī kāvish-o-mehnat kā samar hai shāyad
log hāthoñ meñ uThā.e hue patthar dauḌe
rāste meñ kisī dīvāne kā ghar hai shāyad
maañ se vā'da thā ki maiñ lauT ke ghar ā.ūñgā
muntazir aaj bhī vo dīda-e-tar hai shāyad
log sahme hue baiThe haiñ makāñ meñ apne
phir isī samt se tūfāñ kā guzar hai shāyad
mere qātil ne mujhe dekh ke pahchān liyā
ye to is daur kā e’jāz-e-nazar hai shāyad
mal rahā hai kaf-e-afsos baḌī der se vo
us ke TuuTe hue ḳhvāboñ kā asar hai shāyad
ab bhī har shai hai dhuñdalkoñ kā labāda oḌhe
shām-āgīñ mirī duniyā kī sahar hai shāyad
nīm-'bismil' sā mujhe kar ga.iiñ jis kī nazreñ
vo koī aur nahīñ rashk-e-qamar hai shāyad
karwan aaj bhi sargarm-e-safar hai shayad
ab bhi pur-pech koi rahguzar hai shayad
mo'tarif wo bhi hain kal tak jo muKHalif the mere
ye meri kawish-o-mehnat ka samar hai shayad
log hathon mein uThae hue patthar dauDe
raste mein kisi diwane ka ghar hai shayad
man se wa'da tha ki main lauT ke ghar aaunga
muntazir aaj bhi wo dida-e-tar hai shayad
log sahme hue baiThe hain makan mein apne
phir isi samt se tufan ka guzar hai shayad
mere qatil ne mujhe dekh ke pahchan liya
ye to is daur ka e’jaz-e-nazar hai shayad
mal raha hai kaf-e-afsos baDi der se wo
us ke TuTe hue KHwabon ka asar hai shayad
ab bhi har shai hai dhundalkon ka labaada oDhe
sham-agin meri duniya ki sahar hai shayad
nim-'bismil' sa mujhe kar gain jis ki nazren
wo koi aur nahin rashk-e-qamar hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.