karwan apni rah chalte hain
kārvāñ apnī raah chalte haiñ
ham tire dar kī ḳhaak malte haiñ
fitne jo us nazar meñ palte haiñ
dil kī duniyā vahī badalte haiñ
yuuñ jo āñkhoñ se ashk Dhalte haiñ
shāyad armān-e-dil nikalte haiñ
'ishq meñ ehtiyāt kyā kiije
girne vaale kahīñ sañbhalte haiñ
khelte the jo un ke dāman se
ab vo hasrat se haath malte haiñ
jaan par apnī khelne vaale
mere naqsh-e-qadam pe chalte haiñ
ab to dil bhī nahīñ hai pahlū meñ
ab ye armān kyoñ machalte haiñ
ġham na kar un kī be-ruḳhī kā 'hazīñ'
yuuñ hī hālāt-e-dil badalte haiñ
karwan apni rah chalte hain
hum tere dar ki KHak malte hain
fitne jo us nazar mein palte hain
dil ki duniya wahi badalte hain
yun jo aankhon se ashk Dhalte hain
shayad arman-e-dil nikalte hain
'ishq mein ehtiyat kya kije
girne wale kahin sanbhalte hain
khelte the jo un ke daman se
ab wo hasrat se hath malte hain
jaan par apni khelne wale
mere naqsh-e-qadam pe chalte hain
ab to dil bhi nahin hai pahlu mein
ab ye arman kyon machalte hain
gham na kar un ki be-ruKHi ka 'hazin'
yun hi haalat-e-dil badalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.