kasa-e-jism hi uthla dekhun
kasa-e-jism hi uthla dekhun
KHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
MORE BYKHvaaja Gulaamus Syedain Rabbani
kāsa-e-jism hī uthlā dekhūñ
dast-e-ḳhairāt khulā kyā dekhūñ
ret sāhil kī kuchh is Dhab se sajī
rang paanī kā badaltā dekhūñ
ḳhairiyat sab kī isī meñ hai ki ab
maiñ tirī samt na itnā dekhūñ
ḳhvāb vo hai ki tirī āñkhoñ meñ
us kī tā'bīr kā dhaḌkā dekhūñ
hai rivāyat ke munāfī lekin
chāhtā huuñ tujhe tanhā dekhūñ
apnī marzī se jale aur bujhe
vo charāġh-e-havā-paimā dekhūñ
mere hone meñ bhī kab rāhat thī
ab na hone kā tamāshā dekhūñ
aa in andeshoñ meñ shāmil ho jā
bhiiḌ meñ phir koī tujh sā dekhūñ
mujh se aisā koī vā'da kar le
zindagī bhar tirā rastā dekhūñ
kasa-e-jism hi uthla dekhun
dast-e-KHairaat khula kya dekhun
ret sahil ki kuchh is Dhab se saji
rang pani ka badalta dekhun
KHairiyat sab ki isi mein hai ki ab
main teri samt na itna dekhun
KHwab wo hai ki teri aankhon mein
us ki ta'bir ka dhaDka dekhun
hai riwayat ke munafi lekin
chahta hun tujhe tanha dekhun
apni marzi se jale aur bujhe
wo charagh-e-hawa-paima dekhun
mere hone mein bhi kab rahat thi
ab na hone ka tamasha dekhun
aa in andeshon mein shamil ho ja
bhiD mein phir koi tujh sa dekhun
mujh se aisa koi wa'da kar le
zindagi bhar tera rasta dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.