kash aae sada ishq ki tashhir se pahle
kaash aa.e sadā 'ishq kī tash.hīr se pahle
ye ḳhvāb bikhar jaate haiñ tā'bīr se pahle
kuchh dard sadā ke liye hote haiñ musallat
kuchh jāneñ nikal jaatī haiñ zanjīr se pahle
ye qaid-o-qafas in ke tatabbo’ meñ bane haiñ
zindāñ the kahāñ zulf-e-girah-gīr se pahle
jab TuuT ke bikhre to ye ik baat samajh aa.ī
tasḳhīr huā karte haiñ tasḳhīr se pahle
aa.e to koī kaise muqābil ki vo nazreñ
siine meñ utar jaatī haiñ shamshīr se pahle
kamre kī divāroñ pe nishāñ dekh rahe ho
vahshat thī yahāñ aap kī tasvīr se pahle
kyā jaan sako tum ki hai luT jaanā balā kyā
pūchho kabhī haare hue rah-gīr se pahle
likhtā thā maiñ palkoñ pe kahānī ġham-e-dil kī
ashkoñ kā hunar aatā thā tahrīr se pahle
jab pahle utārā hī gayā ho na ye 'sādiq'
phir kaise ġhazal-ḳhvāñ ho bhalā 'mīr' se pahle
kash aae sada 'ishq ki tashhir se pahle
ye KHwab bikhar jate hain ta'bir se pahle
kuchh dard sada ke liye hote hain musallat
kuchh jaanen nikal jati hain zanjir se pahle
ye qaid-o-qafas in ke tatabbo’ mein bane hain
zindan the kahan zulf-e-girah-gir se pahle
jab TuT ke bikhre to ye ek baat samajh aai
tasKHir hua karte hain tasKHir se pahle
aae to koi kaise muqabil ki wo nazren
sine mein utar jati hain shamshir se pahle
kamre ki diwaron pe nishan dekh rahe ho
wahshat thi yahan aap ki taswir se pahle
kya jaan sako tum ki hai luT jaana bala kya
puchho kabhi haare hue rah-gir se pahle
likhta tha main palkon pe kahani gham-e-dil ki
ashkon ka hunar aata tha tahrir se pahle
jab pahle utara hi gaya ho na ye 'sadiq'
phir kaise ghazal-KHwan ho bhala 'mir' se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.