kash aisi bhi koi saat ho
kaash aisī bhī koī saa.at ho
rū-ba-rū aap hī kī sūrat ho
sochtī huuñ to dil dhaḌaktā hai
tum mire jism kī harārat ho
kitne sajdoñ kā qarz hai mujh par
sar jhukā luuñ agar ijāzat ho
niiñd āñkhoñ meñ is liye aa.ī
un ke aane kī kab bashārat ho
mujh ko bhejā gayā hai ye kah kar
tum mire ishq kī amānat ho
ham bhī kar leñ namāz kī niyyat
husn vaale tirī imāmat ho
tark duniyā karūñgī jab maiñ bhī
sāmne mere jām-e-vahdat ho
hijr kī shab meñ vasl kā lamha
ab to har din yahī karāmat ho
yuuñ pighalne se kuchh nahīñ hāsil
'sham.a' jalnā tirī mohabbat ho
kash aisi bhi koi saat ho
ru-ba-ru aap hi ki surat ho
sochti hun to dil dhaDakta hai
tum mere jism ki hararat ho
kitne sajdon ka qarz hai mujh par
sar jhuka lun agar ijazat ho
nind aankhon mein is liye aai
un ke aane ki kab bashaarat ho
mujh ko bheja gaya hai ye kah kar
tum mere ishq ki amanat ho
hum bhi kar len namaz ki niyyat
husn wale teri imamat ho
tark duniya karungi jab main bhi
samne mere jam-e-wahdat ho
hijr ki shab mein wasl ka lamha
ab to har din yahi karamat ho
yun pighalne se kuchh nahin hasil
'shama' jalna teri mohabbat ho
- Book : Kuch Dard ke sahra se (Pg. 61)
- Author : Syeda Nafis Bano Shama
- Publication : Aabshaar Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.