kash hindu na musalman hota
kaash hindū na musalmāñ hotā
sirf ik pyārā sā insāñ hotā
amn ke phuul mahakte har-sū
har nagar ek gulistāñ hotā
dharm ke naam pe hote na fasād
fitna-o-shar kā na tūfāñ hotā
zindagī bantī na vīrān khañDar
ḳhuun insāñ kā na arzāñ hotā
shahr kī ruuh na hotī ghāyal
itnā ḳhuñḳhār na insāñ hotā
is tarah bantā na haivān bashar
amn maz.hab pe na qurbāñ hotā
ziist rah jaatī na maqtal ban kar
pyaar kā baaġh na vīrāñ hotā
zindagī sabr-o-sukūñ se kaTtī
koī be-ghar na pareshāñ hotā
daur taḳhrīb kā hai 'nāzlī' kaash
koī ta.amīr kā sāmāñ hotā
kash hindu na musalman hota
sirf ek pyara sa insan hota
amn ke phul mahakte har-su
har nagar ek gulistan hota
dharm ke nam pe hote na fasad
fitna-o-shar ka na tufan hota
zindagi banti na viran khanDar
KHun insan ka na arzan hota
shahr ki ruh na hoti ghayal
itna KHunKHar na insan hota
is tarah banta na haiwan bashar
amn mazhab pe na qurban hota
zist rah jati na maqtal ban kar
pyar ka bagh na viran hota
zindagi sabr-o-sukun se kaTti
koi be-ghar na pareshan hota
daur taKHrib ka hai 'nazli' kash
koi tamir ka saman hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.