kash hoti na ye KHata humse
kaash hotī na ye ḳhatā ham se
kyuuñ huī arz-e-mudda.ā ham se
ik tirī yaad kā sahārā thā
vo bhī ab ho ga.ī judā ham se
umr guzrī manāne meñ un ke
vo ḳhafā se rahe sadā ham se
TuuT kar hī rahā dil-e-nādāñ
koī chāra na ho sakā ham se
manzil-e-shauq mil chukī un ko
mil ga.e jin ko rahnumā ham se
phuul toḌe haiñ aap ne lekin
ḳhaar uljhe haiñ bārhā ham se
jān-e-ālam tujhe 'hazīñ' kī qasam
ab na honā kabhī ḳhafā ham se
kash hoti na ye KHata hum se
kyun hui arz-e-muddaa hum se
ek teri yaad ka sahaara tha
wo bhi ab ho gai juda hum se
umr guzri manane mein un ke
wo KHafa se rahe sada hum se
TuT kar hi raha dil-e-nadan
koi chaara na ho saka hum se
manzil-e-shauq mil chuki un ko
mil gae jin ko rahnuma hum se
phul toDe hain aap ne lekin
KHar uljhe hain barha hum se
jaan-e-alam tujhe 'hazin' ki qasam
ab na hona kabhi KHafa hum se
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 132)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.