kash main tujhko koi sham suhani deta
kaash maiñ tujh ko koī shaam suhānī detā
apnī nākām mohabbat kī nishānī detā
merī āñkhoñ se lahū ne bhī Tapak paḌnā thā
apne ashkoñ ko agar aur ravānī detā
tere ik baal kā sadqa bhī nahīñ thā jānāñ
tujh pe gar vaar maiñ apnī ye javānī detā
dāman-e-dil meñ duāoñ ke sivā kuchh bhī na thā
phir bhalā kaise koī chiiz nishānī detā
sūkhī Tahnī bhī harī honī thī ik roz 'ḳhalīl'
tū agar roz use ashkoñ kā paanī detā
kash main tujh ko koi sham suhani deta
apni nakaam mohabbat ki nishani deta
meri aankhon se lahu ne bhi Tapak paDna tha
apne ashkon ko agar aur rawani deta
tere ek baal ka sadqa bhi nahin tha jaanan
tujh pe gar war main apni ye jawani deta
daman-e-dil mein duaon ke siwa kuchh bhi na tha
phir bhala kaise koi chiz nishani deta
sukhi Tahni bhi hari honi thi ek roz 'KHalil'
tu agar roz use ashkon ka pani deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.