kash miTti hui KHushbu ko sahaara mil jae
kaash miTtī huī ḳhushbū ko sahārā mil jaa.e
shāḳh se TuuTe hue phuul kā rishtā mil jaa.e
soche sūraj se kaho aisī koī gardish-e-nau
jism se jism mile saa.e se saayā mil jaa.e
dasht kahtā hai mire paas to qatra bhī nahīñ
pyaas kahtī hai mujhe piine ko dariyā mil jaa.e
nuur phir nuur hai chamkegā vo jugnū hī sahī
shart ye hai ki use thoḌā añdherā mil jaa.e
mere har sher ke lab par ye duā hai 'kāzim'
jis qabīle kā huuñ shā.ir vo qabīla mil jaa.e
kash miTti hui KHushbu ko sahaara mil jae
shaKH se TuTe hue phul ka rishta mil jae
soche suraj se kaho aisi koi gardish-e-nau
jism se jism mile sae se saya mil jae
dasht kahta hai mere pas to qatra bhi nahin
pyas kahti hai mujhe pine ko dariya mil jae
nur phir nur hai chamkega wo jugnu hi sahi
shart ye hai ki use thoDa andhera mil jae
mere har sher ke lab par ye dua hai 'kazim'
jis qabile ka hun shair wo qabila mil jae
- Book : کتاب سنگ (Pg. 35)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.