kash mujhko tere hone ka sahaara hota
kaash mujh ko tire hone kā sahārā hotā
mere dariyā-e-tamanna kā kinārā hotā
maan rakkhā na gayā tujh se mirī ulfat kā
le ke dil tū ne mire muñh pe na maarā hotā
zindagī apnī mohabbat meñ hasīñ ho jaatī
'umr bhar ke liye ik shaḳhs hamārā hotā
mere āñchal ne havā ko bhī kiyā hai mahmez
kaash zulfoñ ko kabhī apnī sañvārā hotā
ajnabī ban ke na shahroñ meñ yuuñ phirte 'naqvī'
dil se ik shaḳhs agar aaj hamārā hotā
kash mujh ko tere hone ka sahaara hota
mere dariya-e-tamanna ka kinara hota
man rakkha na gaya tujh se meri ulfat ka
le ke dil tu ne mere munh pe na mara hota
zindagi apni mohabbat mein hasin ho jati
'umr bhar ke liye ek shaKHs hamara hota
mere aanchal ne hawa ko bhi kiya hai mahmez
kash zulfon ko kabhi apni sanwara hota
ajnabi ban ke na shahron mein yun phirte 'naqwi'
dil se ek shaKHs agar aaj hamara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.