kash wo shoKH mere dil mein makin ho jae
kaash vo shoḳh mire dil meñ makīñ ho jaa.e
merī ujḌī huī duniyā bhī hasīñ ho jaa.e
mere sajdoñ ko ye e.ajāz atā kar yā-rab
naqsh-e-pā un kā mirā naqsh-e-jabīñ ho jaa.e
tere inkār meñ bhī hotā hai iqrār kā lutf
haañ na kahne kī jo zid hai to nahīñ ho jaa.e
mahfil-e-pīr-e-muġhāñ ho ki ho bazm-e-jānāñ
dil ko barbād hī honā hai kahīñ ho jaa.e
hashr meñ vo bhī mire sāmne hoñge yā-rab
faisla apnā to behtar hai yahīñ ho jaa.e
mo.ajize kartā hai ai 'sehr' mirā husn-e-nazar
ik nazar Daal duuñ jis shai pe hasīñ ho jaa.e
kash wo shoKH mere dil mein makin ho jae
meri ujDi hui duniya bhi hasin ho jae
mere sajdon ko ye eajaz ata kar ya-rab
naqsh-e-pa un ka mera naqsh-e-jabin ho jae
tere inkar mein bhi hota hai iqrar ka lutf
han na kahne ki jo zid hai to nahin ho jae
mahfil-e-pir-e-mughan ho ki ho bazm-e-jaanan
dil ko barbaad hi hona hai kahin ho jae
hashr mein wo bhi mere samne honge ya-rab
faisla apna to behtar hai yahin ho jae
moajize karta hai ai 'sehr' mera husn-e-nazar
ek nazar Dal dun jis shai pe hasin ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.