Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaT kar jo rah ka buDha shajar le jaega

sharmaa Taseer

kaT kar jo rah ka buDha shajar le jaega

sharmaa Taseer

MORE BYsharmaa Taseer

    kaaT kar jo raah būḌhā shajar le jā.egā

    saath apne dhuup lambā safar le jā.egā

    ek sahrā be yaqīnī hai tā-hadd-e-nazar

    qāfila-sālār dekheñ ab kidhar le jā.egā

    apne apne gharoñ fikr gar karte rahe

    dekhnā tūfān ye saarā nagar le jā.egā

    be-gharoñ fikr karne zarūrat nahīñ

    ek din koī farishta un ko ghar le jā.egā

    kauḌiyoñ ke mol bik jā.egā ḳhud us vajūd

    koī jab bāzār meñ apnā hunar le jā.egā

    jis ke dil meñ koī ḳhvāhish koī armāñ nahīñ

    saath apne be-bahā zād-e-safar le jā.egā

    ye khulegā mujh pe āḳhir merī manzil hai kahāñ

    jab junūñ 'tāsīr' mujh ko dar-ba-dar le jā.egā

    kaT kar jo rah ka buDha shajar le jaega

    sath apne dhup ka lamba safar le jaega

    ek sahra be yaqini ka hai ta-hadd-e-nazar

    qafila-salar dekhen ab kidhar le jaega

    apne apne hi gharon ki fikr gar karte rahe

    dekhna tufan ye sara nagar le jaega

    be-gharon ki fikr karne ki zarurat hi nahin

    ek din koi farishta un ko ghar le jaega

    kauDiyon ke mol bik jaega KHud us ka wajud

    koi jab bazar mein apna hunar le jaega

    jis ke dil mein koi KHwahish koi arman hi nahin

    sath apne be-baha zad-e-safar le jaega

    ye khulega mujh pe aaKHir meri manzil hai kahan

    jab junun 'tasir' mujh ko dar-ba-dar le jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now