kaT kar kuchh peD sab ko ghar banane ki paDi hai
kaT kar kuchh peD sab ko ghar banane ki paDi hai
Santosh Singh Shekhar
MORE BYSantosh Singh Shekhar
kaaT kar kuchh peḌ sab ko ghar banāne kī paḌī hai
yaar kis ko panchhiyoñ ke āshiyāne kī paḌī hai
baap kā saayā uThā hai aaj us beTe ke sar se
gaañv ke logoñ ko bas khāne khilāne kī paḌī hai
bārhā hī zaḳhm dete jā rahe haiñ ham-nafas bhī
aur hameñ bhī zaḳhm khā kar muskurāne kī paḌī hai
vo kabhī ta.alīm lene jā nahīñ paayā ḳhudāyā
par use aulād ko har dam paḌhāne kī paḌī hai
is badan se hī to rishta thā yahāñ par dost sab kā
mar gayā ab jism to jaldī jalāne kī paḌī hai
ek to ham ishq meñ yaarī gañvā baiThe haiñ 'shekhar'
ek ham ko ishq jīvan bhar nibhāne kī paḌī hai
kaT kar kuchh peD sab ko ghar banane ki paDi hai
yar kis ko panchhiyon ke aashiyane ki paDi hai
bap ka saya uTha hai aaj us beTe ke sar se
ganw ke logon ko bas khane khilane ki paDi hai
barha hi zaKHm dete ja rahe hain ham-nafas bhi
aur hamein bhi zaKHm kha kar muskurane ki paDi hai
wo kabhi talim lene ja nahin paya KHudaya
par use aulad ko har dam paDhane ki paDi hai
is badan se hi to rishta tha yahan par dost sab ka
mar gaya ab jism to jaldi jalane ki paDi hai
ek to hum ishq mein yari ganwa baiThe hain 'shekhar'
ek hum ko ishq jiwan bhar nibhane ki paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.