Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaTi hai kaise subh kahan sham bhul jaen

Mushaf Iqbal Tausifi

kaTi hai kaise subh kahan sham bhul jaen

Mushaf Iqbal Tausifi

MORE BYMushaf Iqbal Tausifi

    Interesting Fact

    Tahreek, Delhi

    kaaTī hai kaise sub.h kahāñ shaam bhuul jaa.eñ

    Thahreñ kahīñ ye gardish-e-be-nām bhuul jaa.eñ

    palkoñ pe aa sajā leñ sabhī ḳhaar paañv ke

    kyuuñ chalte chalte hone lagī shaam bhuul jaa.eñ

    bahtī havāoñ pe na.e nauhe likhā kareñ

    is ghūmtī zamīn anjām bhuul jaa.eñ

    khul jaa.eñ pāniyoñ meñ jazīroñ khiḌkiyāñ

    tujh se mileñ to ruuh kohrām bhuul jaa.eñ

    ye to na kar sake ki koī shaġhl DhūñD leñ

    itnā na ho sakā ki tirā naam bhuul jaa.eñ

    kaTi hai kaise subh kahan sham bhul jaen

    Thahren kahin ye gardish-e-be-nam bhul jaen

    palkon pe aa saja len sabhi KHar panw ke

    kyun chalte chalte hone lagi sham bhul jaen

    bahti hawaon pe nae nauhe likha karen

    is ghumti zamin ka anjam bhul jaen

    khul jaen paniyon mein jaziron ki khiDkiyan

    tujh se milen to ruh ka kohram bhul jaen

    ye to na kar sake ki koi shaghl DhunD len

    itna na ho saka ki tera nam bhul jaen

    Source :
    • Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 90)
    • Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
    • Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
    • Edition : 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now