kaTi nahin to har taraf phailegi shaKH jabr ki
kaaTī nahīñ to har taraf phailegī shāḳh jabr kī
sabr kī baat chhoḌiye hotī hai had bhī sabr kī
DhūñD ab aisī sarzamīñ jis kī tamām khetiyāñ
māñgeñ na āsmān se bhiik kabhī bhī abr kī
karb kā bahr-e-bekarāñ chāroñ taraf hai maujzan
ghar meñ ghaḌī muqīm hai kab se azāb-e-qabr kī
pahle to ghar ke sahn meñ dhuup kī barchhiyāñ girīñ
baad meñ chhat pe aa ga.ī fauj ġhanīm-e-abr kī
bhiik meñ le ke jur.ateñ aa.e to paañv jhaḌ ga.e
phāñd sake na is liye log fasīl jabr kī
rāh-e-murād is liye aur bhī duur ho ga.ī
us meñ thā qaht-e-hausla mujh meñ kamī thī sabr kī
sahn meñ phuul phuul jism khel rahe haiñ har taraf
ḳhauf nahīñ hai dhuup kā fikr nahīñ hai abr kī
kaTi nahin to har taraf phailegi shaKH jabr ki
sabr ki baat chhoDiye hoti hai had bhi sabr ki
DhunD ab aisi sarzamin jis ki tamam khetiyan
mangen na aasman se bhik kabhi bhi abr ki
karb ka bahr-e-bekaran chaaron taraf hai maujzan
ghar mein ghaDi muqim hai kab se azab-e-qabr ki
pahle to ghar ke sahn mein dhup ki barchhiyan girin
baad mein chhat pe aa gai fauj ghanim-e-abr ki
bhik mein le ke juraten aae to panw jhaD gae
phand sake na is liye log fasil jabr ki
rah-e-murad is liye aur bhi dur ho gai
us mein tha qaht-e-hausla mujh mein kami thi sabr ki
sahn mein phul phul jism khel rahe hain har taraf
KHauf nahin hai dhup ka fikr nahin hai abr ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.