kawish-e-gham bhi hai zalim aur teri yaad bhi
kawish-e-gham bhi hai zalim aur teri yaad bhi
Faheemuddin Ahmad Faheem
MORE BYFaheemuddin Ahmad Faheem
kāvish-e-ġham bhī hai zālim aur terī yaad bhī
ye dil-e-muztar mirā vīrāñ bhī hai ābād bhī
kyā sazā.eñ sochī haiñ kuchh kījiye irshād bhī
lījiye hāzir huuñ maiñ bhī aur dil-e-nāshād bhī
roz ik taaza sitam vo bhī na.e andāz se
daad le hī chhoḌtī hai aap kī bedād bhī
diid ke qābil agar hai be-sutūñ par jū-e-shīr
ik sabaq ibrat kā hai ḳhūn-e-sar-e-farhād bhī
ye na pūchho kis tarah kab kis liye kis vāste
bas ye kaafī hai vahāñ hotī hai merī yaad bhī
pahlī hī manzil meñ dekho us ne himmat haar dī
āsmāñ sar par uThā kar rah ga.ī fariyād bhī
bulbuloñ kā pūchhnā ghabrā ke ye sayyād se
ham asīrān-e-qafas hoñge kabhī āzād bhī
imtihāñ ham saḳht-jānoñ kā koī kyā khel thā
dekho paanī ho gayā ab ḳhanjar-e-faulād bhī
jis tarah tujh ko mile haiñ aish-o-rāhat ke sharīk
mil rahegā koī mujh nāshād ko nāshād bhī
the sitamgar ab zamāne kī ravish ko dekh kar
rafta rafta ho ga.e tum to sitam-ījād bhī
jis ke ḳhvāhāñ the hasīñ jis dil pe mujh ko naaz thā
kuchh ḳhabar bhī hai tumheñ vo ho gayā barbād bhī
tang-dil rakhtā hai zālim har ghaḌī tū kyoñ mujhe
Dar hai ghuT ghuT kar na uktā jaa.e terī yaad bhī
ġhair jhūTā hai bhalā maiñ bevafā tum ko kahūñ
us kī ranjish kyā na ho jis baat kī buniyād bhī
va.ada-e-mahshar vo kar ke ḳhud hī yuuñ kahne lage
ho to sab kuchh jab rahe is bhiiḌ meñ kuchh yaad bhī
kaam aa jaatī hai aksar ishq meñ dīvāngī
maiñ agar samjho to huuñ pāband bhī āzād bhī
maiñ ne dekhā hai mohabbat kā asar donoñ tarah
ye kabhī ābād kartī hai kabhī barbād bhī
nā-tavānī kā burā ho vo to aa.e vaqt-e-naz.a
ruk ga.ī hoñToñ tak aa kar āḳhirī fariyād bhī
ai 'fahīm' us shoḳh kī haiñ sab adā.eñ intiḳhāb
bā-mazā hai us sitam-ījād kī bedād bhī
kawish-e-gham bhi hai zalim aur teri yaad bhi
ye dil-e-muztar mera viran bhi hai aabaad bhi
kya sazaen sochi hain kuchh kijiye irshad bhi
lijiye hazir hun main bhi aur dil-e-nashad bhi
roz ek taza sitam wo bhi nae andaz se
dad le hi chhoDti hai aap ki bedad bhi
did ke qabil agar hai be-sutun par ju-e-shir
ek sabaq ibrat ka hai KHun-e-sar-e-farhad bhi
ye na puchho kis tarah kab kis liye kis waste
bas ye kafi hai wahan hoti hai meri yaad bhi
pahli hi manzil mein dekho us ne himmat haar di
aasman sar par uTha kar rah gai fariyaad bhi
bulbulon ka puchhna ghabra ke ye sayyaad se
hum asiran-e-qafas honge kabhi aazad bhi
imtihan hum saKHt-jaanon ka koi kya khel tha
dekho pani ho gaya ab KHanjar-e-faulad bhi
jis tarah tujh ko mile hain aish-o-rahat ke sharik
mil rahega koi mujh nashad ko nashad bhi
the sitamgar ab zamane ki rawish ko dekh kar
rafta rafta ho gae tum to sitam-ijad bhi
jis ke KHwahan the hasin jis dil pe mujh ko naz tha
kuchh KHabar bhi hai tumhein wo ho gaya barbaad bhi
tang-dil rakhta hai zalim har ghaDi tu kyon mujhe
Dar hai ghuT ghuT kar na ukta jae teri yaad bhi
ghair jhuTa hai bhala main bewafa tum ko kahun
us ki ranjish kya na ho jis baat ki buniyaad bhi
wada-e-mahshar wo kar ke KHud hi yun kahne lage
ho to sab kuchh jab rahe is bhiD mein kuchh yaad bhi
kaam aa jati hai aksar ishq mein diwangi
main agar samjho to hun paband bhi aazad bhi
main ne dekha hai mohabbat ka asar donon tarah
ye kabhi aabaad karti hai kabhi barbaad bhi
na-tawani ka bura ho wo to aae waqt-e-naza
ruk gai honTon tak aa kar aaKHiri fariyaad bhi
ai 'fahim' us shoKH ki hain sab adaen intiKHab
ba-maza hai us sitam-ijad ki bedad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.