kab bujhti hai suraj ki ziya sham se pahle
kab bujhtī hai sūraj kī ziyā shaam se pahle
jaltā hai kahāñ koī diyā shaam se pahle
isrāf ise kahiye ki dānista taġhāful
kyoñ qumquma saḌkoñ pe jalā shaam se pahle
is shahr-e-pur-āshob kī hai raat bhayānak
ghar lauT ke aanā hai zarā shaam se pahle
ye zulmat-e-shab tābish-e-anjum ke liye hai
ye rāz-e-nihāñ ham pe khulā shaam se pahle
ummīd hai ārām se ye raat kaTegī
taskīn kī māñgī hai duā shaam se pahle
sahrā meñ ġhanīmat hai kaḌī dhuup kā saaya
detā hai jo manzil kā patā shaam se pahle
hotī hai 'jamīl' aisī kashish rishta-e-jāñ meñ
lauT aate haiñ arbāb-e-vafā shaam se pahle
kab bujhti hai suraj ki ziya sham se pahle
jalta hai kahan koi diya sham se pahle
israf ise kahiye ki danista taghaful
kyon qumquma saDkon pe jala sham se pahle
is shahr-e-pur-ashob ki hai raat bhayanak
ghar lauT ke aana hai zara sham se pahle
ye zulmat-e-shab tabish-e-anjum ke liye hai
ye raaz-e-nihan hum pe khula sham se pahle
ummid hai aaram se ye raat kaTegi
taskin ki mangi hai dua sham se pahle
sahra mein ghanimat hai kaDi dhup ka saya
deta hai jo manzil ka pata sham se pahle
hoti hai 'jamil' aisi kashish rishta-e-jaan mein
lauT aate hain arbab-e-wafa sham se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.