kab gawara thi zamane ki koi baat mujhe
kab gavāra thī zamāne kī koī baat mujhe
vo to le aa.ī yahāñ gardish-e-hālāt mujhe
rok saktī huuñ use roz-e-qayāmat tak bhī
sañg tere jo mile pyaar kī ik raat mujhe
āḳhirī gaam talak jiit hī samjhī maiñ ne
baḌī tadbīr se laa.ī hai mirī maat mujhe
log jis kār-e-aziyyat meñ mare jaate haiñ
zinda rakhte haiñ vahī hijr ke lamhāt mujhe
tum se milne ke liye roz paḌhā kartī thī
ab bichhaḌ ne hī nahīñ detīñ ye āyāt mujhe
lafz hoñToñ se nikalte hue mar jaate haiñ
us se aatī hī nahīñ karnī shikāyāt mujhe
kab gawara thi zamane ki koi baat mujhe
wo to le aai yahan gardish-e-haalat mujhe
rok sakti hun use roz-e-qayamat tak bhi
sang tere jo mile pyar ki ek raat mujhe
aaKHiri gam talak jit hi samjhi main ne
baDi tadbir se lai hai meri mat mujhe
log jis kar-e-aziyyat mein mare jate hain
zinda rakhte hain wahi hijr ke lamhat mujhe
tum se milne ke liye roz paDha karti thi
ab bichhaD ne hi nahin detin ye aayat mujhe
lafz honTon se nikalte hue mar jate hain
us se aati hi nahin karni shikayat mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.