kab hai had-e-imkani mein
kab hai had-e-imkānī meñ
rishta aag aur paanī meñ
us kā sarāpā likkhūñgā
aaj qalam hai ravānī meñ
chhoTā mirā kirdār sahī
shāmil to huuñ kahānī meñ
mere māthe par ye shikan
us ne dī hai nishānī meñ
ā.īna hai zulm tirā
merī karb-bayānī meñ
daanā karte haiñ jo kaam
maiñ ne kiye nādānī meñ
chorī mere dil kī huī
āñkhoñ kī nigarānī meñ
baap kī dushvārī ke tufail
bachche haiñ āsānī meñ
mashvara un kā maanā nahīñ
maare ga.e man-mānī meñ
kāġhaz kī hai naav 'habīb'
sīna-sipar tuġhyānī meñ
kab hai had-e-imkani mein
rishta aag aur pani mein
us ka sarapa likkhunga
aaj qalam hai rawani mein
chhoTa mera kirdar sahi
shamil to hun kahani mein
mere mathe par ye shikan
us ne di hai nishani mein
aaina hai zulm tera
meri karb-bayani mein
dana karte hain jo kaam
main ne kiye nadani mein
chori mere dil ki hui
aankhon ki nigarani mein
bap ki dushwari ke tufail
bachche hain aasani mein
mashwara un ka mana nahin
mare gae man-mani mein
kaghaz ki hai naw 'habib'
sina-sipar tughyani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.