kab hai manzur ki yun jins-e-dil-e-zar bike
kab hai manzur ki yun jins-e-dil-e-zar bike
Qurban Ali Salik Beg
MORE BYQurban Ali Salik Beg
kab hai manzūr ki yuuñ jins-e-dil-e-zār bike
par ye vo shai hai na bechūñ bhī to sau baar bike
lauh-e-murtad pe ye mahmūd ke likh denā thā
husn vo shai hai ki lete hī ḳharīdār bike
so hī jaave mire tāle.a ke barābar aa kar
kyā ho gar baḳht-e-adū bhī sar-e-bāzār bike
hoñ ḳhalish dost duā hai ki davā ke badle
yārab is ahd meñ dard-e-dil-e-bīmār bike
bik ke yūsuf ne ḳharīdā hai vo rutba ki na pūchh
ye hī biknā hai to ham muft hī sau baar bike
poshish-e-ka.aba se kyā kam hai agar dil par hai
chāhiye mere garebāñ kā har ik taar bike
dekh kar ashk-e-musalsal ko vo aañsū bhar laa.e
laakh motī ke evaz do dur-e-shahvār bike
jab vo ġhārat-gar-e-īmāñ hai to hairat kyā hai
dair meñ jubba bike ka.abe meñ zunnār bike
hai shab-e-vasl-e-adū aur zamāna mahjūr
kyuuñ na bistar ke liye gul kī jagah ḳhaar bike
kahte haiñ zulf meñ rakhne ko haiñ kuchh dil darkār
tālib us chiiz ke haiñ jo pas-e-dīvār bike
jaama ai dast-e-junūñ aur kahāñ se lā.ūñ
le rakhūñ mol agar dāman-e-kohsār bike
asar-e-garmī-e-raftār hai ye bhī merā
ki bayābāñ meñ bahut suukh ke ashjār bike
tum ho saaqī to ajab kyā hai ki maiḳhāne meñ
evaz-e-san.at-e-jam sāġhar-e-sarshār bike
ḳhauf hai ye dil-e-be-tāb na bar meñ aa jaa.e
ham na leñ mol jo vo turra-e-tarrār bike
ek bulbul rahe kis kis kī zuleḳhā.ī meñ
Dher phūloñ kā jab aa kar sar-e-bāzār bike
bār-e-isyāñ ko uThā.e hue phirtā kab tak
muft hī Taal duuñ 'sālik' jo ye ambār bike
kab hai manzur ki yun jins-e-dil-e-zar bike
par ye wo shai hai na bechun bhi to sau bar bike
lauh-e-murtad pe ye mahmud ke likh dena tha
husn wo shai hai ki lete hi KHaridar bike
so hi jawe mere talea ke barabar aa kar
kya ho gar baKHt-e-adu bhi sar-e-bazar bike
hon KHalish dost dua hai ki dawa ke badle
yarab is ahd mein dard-e-dil-e-bimar bike
bik ke yusuf ne KHarida hai wo rutba ki na puchh
ye hi bikna hai to hum muft hi sau bar bike
poshish-e-kaba se kya kam hai agar dil par hai
chahiye mere gareban ka har ek tar bike
dekh kar ashk-e-musalsal ko wo aansu bhar lae
lakh moti ke ewaz do dur-e-shahwar bike
jab wo ghaarat-gar-e-iman hai to hairat kya hai
dair mein jubba bike kabe mein zunnar bike
hai shab-e-wasl-e-adu aur zamana mahjur
kyun na bistar ke liye gul ki jagah KHar bike
kahte hain zulf mein rakhne ko hain kuchh dil darkar
talib us chiz ke hain jo pas-e-diwar bike
jama ai dast-e-junun aur kahan se laun
le rakhun mol agar daman-e-kohsar bike
asar-e-garmi-e-raftar hai ye bhi mera
ki bayaban mein bahut sukh ke ashjar bike
tum ho saqi to ajab kya hai ki maiKHane mein
ewaz-e-sanat-e-jam saghar-e-sarshaar bike
KHauf hai ye dil-e-be-tab na bar mein aa jae
hum na len mol jo wo turra-e-tarrar bike
ek bulbul rahe kis kis ki zuleKHai mein
Dher phulon ka jab aa kar sar-e-bazar bike
bar-e-isyan ko uThae hue phirta kab tak
muft hi Tal dun 'salik' jo ye ambar bike
- Book : Kulliyat-e-Saalik (Pg. e-483 p-451)
- Author : Mirza Qurban Ali Salik Beg
- Publication : Imtiyaz Ali Taj,Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore (1966)
- Edition : 1966
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.