kab ho saka hai dil ka mudawa tere baghair
kab ho saka hai dil ka mudawa tere baghair
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
kab ho sakā hai dil kā mudāvā tire baġhair
hogā tirā marīz na achchhā tire baġhair
sabr-o-qarār-e-ishq 'ibārat tujhī se hai
bātil hai zabt-e-dard kā dā'vā tire baġhair
is tarah ab jahāñ meñ huuñ goyā nahīñ huuñ maiñ
kaisī badal ga.ī mirī duniyā tire baġhair
bālīñ par aa ki maut sukūñ se nasīb ho
jiinā to ab nahīñ hai gavāra tire baġhair
har mauj-e-mai hai ik rag-e-ḳhūñ-bār hijr meñ
kyā hoñge aah sāġhar-o-mīnā tire baġhair
terī tajalliyoñ se haiñ sab kī tajalliyāñ
jalva nahīñ hai koī bhī jalvā tire baġhair
ye barq be-qarār hai dāmān-e-abr meñ
yā muztarib hai dil pas-e-parda tire baġhair
tū uTh ke kyā chalā ki chalī jaan jism se
dushvār ho gayā mujhe jaisā tire baġhair
kyā zikr-e-mehr-o-māh ki ai mehr-o-māh-e-husn
chamkā na aaj tak koī zarra tire baġhair
begāna-e-hayāt hai har lamha-e-firāq
kis tarah jī sake koī tanhā tire baġhair
tū dekhtā hai dekh sakā kab maiñ ġhair ko
vā ho sakī na chashm-e-tamāshā tire baġhair
ai barq-e-husn dil kī fazā par bhī ik jhalak
tārīk hai ye tūr-e-tajallī tire baġhair
zarra bhī apne dasht se begāna ho gayā
bāham judā haiñ qatra-o-dariyā tire baġhair
jab tū nahīñ nazar meñ to nazroñ ko kyā karūñ
kis kaam kā ye dīda-e-bīnā tire baġhair
gar aaj terī qadr nahīñ ai 'junūñ' na ho
ro.egā apne haal pe fardā tire baġhair
kab ho saka hai dil ka mudawa tere baghair
hoga tera mariz na achchha tere baghair
sabr-o-qarar-e-ishq 'ibarat tujhi se hai
baatil hai zabt-e-dard ka da'wa tere baghair
is tarah ab jahan mein hun goya nahin hun main
kaisi badal gai meri duniya tere baghair
baalin par aa ki maut sukun se nasib ho
jina to ab nahin hai gawara tere baghair
har mauj-e-mai hai ek rag-e-KHun-bar hijr mein
kya honge aah saghar-o-mina tere baghair
teri tajalliyon se hain sab ki tajalliyan
jalwa nahin hai koi bhi jalwa tere baghair
ye barq be-qarar hai daman-e-abr mein
ya muztarib hai dil pas-e-parda tere baghair
tu uTh ke kya chala ki chali jaan jism se
dushwar ho gaya mujhe jaisa tere baghair
kya zikr-e-mehr-o-mah ki ai mehr-o-mah-e-husn
chamka na aaj tak koi zarra tere baghair
begana-e-hayat hai har lamha-e-firaq
kis tarah ji sake koi tanha tere baghair
tu dekhta hai dekh saka kab main ghair ko
wa ho saki na chashm-e-tamasha tere baghair
ai barq-e-husn dil ki faza par bhi ek jhalak
tarik hai ye tur-e-tajalli tere baghair
zarra bhi apne dasht se begana ho gaya
baham juda hain qatra-o-dariya tere baghair
jab tu nahin nazar mein to nazron ko kya karun
kis kaam ka ye dida-e-bina tere baghair
gar aaj teri qadr nahin ai 'junun' na ho
roega apne haal pe farda tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.