kab jahan se hai dushmani meri
kab jahāñ se hai dushmanī merī
jang koī hai dāḳhlī merī
ik mukammal ġhazal hai merā vajūd
har sū phailī suḳhan-varī merī
tujh se milne kā kab ye matlab thā
baat pahuñche galī galī merī
haal andar kā jāntā hai vo
dil hī kartā hai muḳhbirī merī
ḳhud muqābil huuñ apnī hastī ke
yahī ta.azīr hai baḌī merī
apne dāman ko bhar liyā us ne
mushtahar kar ke muflisī merī
tū ne sochā to aa ga.ī huuñ maiñ
umr hai kis qadar baḌī merī
merī palkoñ se bah rahī hai 'sadaf'
qatra-qatra ye zindagī merī
kab jahan se hai dushmani meri
jang koi hai daKHli meri
ek mukammal ghazal hai mera wajud
har su phaili suKHan-wari meri
tujh se milne ka kab ye matlab tha
baat pahunche gali gali meri
haal andar ka jaanta hai wo
dil hi karta hai muKHbiri meri
KHud muqabil hun apni hasti ke
yahi tazir hai baDi meri
apne daman ko bhar liya us ne
mushtahar kar ke muflisi meri
tu ne socha to aa gai hun main
umr hai kis qadar baDi meri
meri palkon se bah rahi hai 'sadaf'
qatra-qatra ye zindagi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.