kab kaha humne ki hum ko apna shana dijiye
kab kahā ham ne ki ham ko apnā shānā dījiye
aap to rone kā bas koī bahānā dījiye
ham divānoñ ko nahīñ darkār koThī aur mahal
denā hai to apne dil meñ āshiyānā dījiye
chhīn liije chāhe phir ham se dar-o-dīvār aap
yā-ḳhudā us ko magar achchhā gharānā dījiye
is qadar ḳhāmoshī bhī achchhī nahīñ mahfil meñ dost
daad denī gar nahīñ aatī to tā'na dījiye
muntazir haiñ 'harsh' vo din bhī kabhī aa.e ki jab
ham unheñ boleñ ajī suntī ho khānā dījiye
kab kaha hum ne ki hum ko apna shana dijiye
aap to rone ka bas koi bahana dijiye
hum diwanon ko nahin darkar koThi aur mahal
dena hai to apne dil mein aashiyana dijiye
chhin lije chahe phir hum se dar-o-diwar aap
ya-KHuda us ko magar achchha gharana dijiye
is qadar KHamoshi bhi achchhi nahin mahfil mein dost
dad deni gar nahin aati to ta'na dijiye
muntazir hain 'harsh' wo din bhi kabhi aae ki jab
hum unhen bolen aji sunti ho khana dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.