kab kaha mal-o-zar nagin baKHshe
kab kahā māl-o-zar nagīñ baḳhshe
vo jo merā hai to yaqīñ baḳhshe
apne ho kar bhī ġhair lagte haiñ
kaise is ghar ko haiñ makīñ baḳhshe
jis ko sajde kī bhī na ho taufīq
aisī maġhrūr na jabīñ baḳhshe
ḳhāliq-e-kul se iltijā hai mirī
achchhe ash'ār kī zamīñ baḳhshe
maut se kaisā ḳhauf muflis ko
tājvar us ne to nahīñ baḳhshe
dost sad-shauq baiTheñ pahlū meñ
kaun ab un ko āstīñ baḳhshe
ham ko bulvā.e yā chalā aa.e
ham ko kuchh vaqt vo kahīñ baḳhshe
ab dilāsa na 'ishq de mujh ko
jo bhī denā hai sab yahīñ baḳhshe
vasl yā hijr hī sahī 'ambar'
kuchh to sauġhāt vo hasīñ baḳhshe
kab kaha mal-o-zar nagin baKHshe
wo jo mera hai to yaqin baKHshe
apne ho kar bhi ghair lagte hain
kaise is ghar ko hain makin baKHshe
jis ko sajde ki bhi na ho taufiq
aisi maghrur na jabin baKHshe
KHaliq-e-kul se iltija hai meri
achchhe ash'ar ki zamin baKHshe
maut se kaisa KHauf muflis ko
tajwar us ne to nahin baKHshe
dost sad-shauq baiThen pahlu mein
kaun ab un ko aastin baKHshe
hum ko bulwae ya chala aae
hum ko kuchh waqt wo kahin baKHshe
ab dilasa na 'ishq de mujh ko
jo bhi dena hai sab yahin baKHshe
wasl ya hijr hi sahi 'ambar'
kuchh to saughat wo hasin baKHshe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.