kab kaha tha ki wo tohfa mujhe wapas kar de
kab kahā thā ki vo tohfa mujhe vāpas kar de
terī marzī hai to achchhā mujhe vāpas kar de
ab bhī guḌiyoñ meñ lagā saktī huuñ apne dil ko
merī chhoTī sī vo duniyā mujhe vāpas kar de
jitne aañsū haiñ mire paas vo le le saare
aur vo zabt kā lamha mujhe vāpas kar de
dil ko lauTā ke mire dost ġhamī kyā honā
maiñ ne kab tujh se kahā thā mujhe vāpas kar de
koī tasvīr tire paas nahīñ rakh saktī
merī yādoñ kā ḳhazāna mujhe vāpas kar de
jhūTī ummīd dilāne se to behtar hai 'qamar'
vahī TuuTā huā va.ada mujhe vāpas kar de
kab kaha tha ki wo tohfa mujhe wapas kar de
teri marzi hai to achchha mujhe wapas kar de
ab bhi guDiyon mein laga sakti hun apne dil ko
meri chhoTi si wo duniya mujhe wapas kar de
jitne aansu hain mere pas wo le le sare
aur wo zabt ka lamha mujhe wapas kar de
dil ko lauTa ke mere dost ghami kya hona
main ne kab tujh se kaha tha mujhe wapas kar de
koi taswir tere pas nahin rakh sakti
meri yaadon ka KHazana mujhe wapas kar de
jhuTi ummid dilane se to behtar hai 'qamar'
wahi TuTa hua wada mujhe wapas kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.