kab kaha tir-e-jigar par bura lagta hai
kab kahā tīr-e-jigar paar burā lagtā hai
us kī nazroñ kā bhalā vaar burā lagtā hai
apne baare meñ kahūñ kuchh to mujhe kahtī hai
gul ke pahlū meñ kabhī ḳhaar burā lagtā hai
terī galiyoñ se jo guzrā huuñ to ab har rasta
ḳhvāh kitnā bhī ho hamvār burā lagtā hai
niiñd ke maare hue dasht-zada ḳhvāboñ ko
yaar har dīda-e-bedār burā lagtā hai
tum nahīñ ho to zamāne ko burā huuñ jaise
aa.ine ke binā zangār burā lagtā hai
tujh ko hai 'ilm ki ham jaise junūñ-zādoñ ko
koī ho terā giraftār burā lagtā hai
itnā ḳhāmosh-tabī'at huuñ azal se 'sādiq'
mujh ko har sāhab-e-guftār burā lagtā hai
kab kaha tir-e-jigar par bura lagta hai
us ki nazron ka bhala war bura lagta hai
apne bare mein kahun kuchh to mujhe kahti hai
gul ke pahlu mein kabhi KHar bura lagta hai
teri galiyon se jo guzra hun to ab har rasta
KHwah kitna bhi ho hamwar bura lagta hai
nind ke mare hue dasht-zada KHwabon ko
yar har dida-e-bedar bura lagta hai
tum nahin ho to zamane ko bura hun jaise
aaine ke bina zangar bura lagta hai
tujh ko hai 'ilm ki hum jaise junun-zadon ko
koi ho tera giraftar bura lagta hai
itna KHamosh-tabi'at hun azal se 'sadiq'
mujh ko har sahab-e-guftar bura lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.