kab kahan humne ki meamar-e-ghazal hum bhi hain
kab kahāñ ham ne ki me.amār-e-ġhazal ham bhī haiñ
haañ sambhāle hue mīnār-e-ġhazal ham bhī haiñ
'ġhālib'-o-'mīr' shahanshāh-e-suḳhan haiñ lekin
apne ḳhitte meñ zamīñdār-e-ġhazal ham bhī haiñ
ham ne bhī ḳhūn-e-jigar de ke sañvārā hai ise
sāhibo ġhāza-e-ruḳhsār-e-ġhazal ham bhī haiñ
ham samajhte haiñ ġhazal kaise kahī jaatī hai
vāqif-e-azmat-o-me.ār-e-ġhazal ham bhī haiñ
us ke dāman pe ka.ī daaġh lage haiñ ham se
sach to ye hai ki gunahgār-e-ġhazal ham bhī haiñ
ham ko fan aatā hai lafzoñ kī masīhā.ī kā
aur sabab ye hai ki bīmār-e-ġhazal ham bhī haiñ
tājirān-e-suḳhan-o-sher pe kyā tanz kareñ
ḳhitta-e-raunaq-e-bāzār-e-ġhazal ham bhī haiñ
apnā bhī zikr hai arbāb-e-suḳhan meñ 'vāsif'
ye bahut hai ki parastār-e-ġhazal ham bhī haiñ
kab kahan hum ne ki meamar-e-ghazal hum bhi hain
han sambhaale hue minar-e-ghazal hum bhi hain
'ghaalib'-o-'mir' shahanshah-e-suKHan hain lekin
apne KHitte mein zamindar-e-ghazal hum bhi hain
hum ne bhi KHun-e-jigar de ke sanwara hai ise
sahibo ghaza-e-ruKHsar-e-ghazal hum bhi hain
hum samajhte hain ghazal kaise kahi jati hai
waqif-e-azmat-o-mear-e-ghazal hum bhi hain
us ke daman pe kai dagh lage hain hum se
sach to ye hai ki gunahgar-e-ghazal hum bhi hain
hum ko fan aata hai lafzon ki masihai ka
aur sabab ye hai ki bimar-e-ghazal hum bhi hain
tajiran-e-suKHan-o-sher pe kya tanz karen
KHitta-e-raunaq-e-bazar-e-ghazal hum bhi hain
apna bhi zikr hai arbab-e-suKHan mein 'wasif'
ye bahut hai ki parastar-e-ghazal hum bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.