kab KHamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main
kab ḳhamoshī ko mohabbat kī zabāñ samjhā thā maiñ
thā 'ayāñ vo rāz-e-dil jis ko nihāñ samjhā thā maiñ
sun rahā huuñ apnī ḳhāmoshī kā charchā kū-ba-kū
thī fuġhāñ vo bhī jise zabt-e-fuġhāñ samjhā thā maiñ
'ārzī sā 'aks thā ik iltifāt-e-dost kā
jis ko nādānī se aish-e-jāvedāñ samjhā thā maiñ
tum ne āñkheñ pher liiñ mujh se to ye mujh par khulā
ḳhār-zār-e-zindagī ko gulsitāñ samjhā thā maiñ
vo bhī nikle barq-o-bād-o-bāġhbāñ kī milkiyat
chaar tinke jin ko apnā āshiyāñ samjhā thā maiñ
kar sakeñ 'darshan' na vo bhī arz-e-hāl-e-ārzū
jin nigāhoñ ko mohabbat kī zabāñ samjhā thā maiñ
kab KHamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main
tha 'ayan wo raaz-e-dil jis ko nihan samjha tha main
sun raha hun apni KHamoshi ka charcha ku-ba-ku
thi fughan wo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main
'arzi sa 'aks tha ek iltifat-e-dost ka
jis ko nadani se aish-e-jawedan samjha tha main
tum ne aankhen pher lin mujh se to ye mujh par khula
KHar-zar-e-zindagi ko gulsitan samjha tha main
wo bhi nikle barq-o-baad-o-baghban ki milkiyat
chaar tinke jin ko apna aashiyan samjha tha main
kar saken 'darshan' na wo bhi arz-e-haal-e-arzu
jin nigahon ko mohabbat ki zaban samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.