kab kis baat se dil TuTa hai apni kis se yari hai
kab kis baat se dil TuuTā hai apnī kis se yaarī hai
merī vahshat nārāzī hai aur vo sirf tumhārī hai
añgḌā.ī ne kaale bādal Daal diye haiñ shānoñ par
chaah ne gesū khol diye haiñ din ne raat guzārī hai
ruuh se ruuh kā mel hai ya.anī rūhoñ kī parchhā.ī meñ
jism pe jism kī ārā.ish hai sharm kī parda-dārī hai
mujh ko in kaliyoñ kī rangat aur adā se kyā matlab
bhañvaroñ kī phūloñ se sirf havas kī rishtedārī hai
har ehsās nayā ik lafz aur har ik lafz nayā ehsās
jismoñ kī uryāñ taḳhtī par poroñ kī fankārī hai
ishq junūñ hai ishq sukūñ hai ishq hī ranj-o-gumāñ ya.anī
ishq diloñ kā aib nahīñ hai zehnoñ kī purkārī hai
kab kis baat se dil TuTa hai apni kis se yari hai
meri wahshat naraazi hai aur wo sirf tumhaari hai
angDai ne kale baadal Dal diye hain shanon par
chah ne gesu khol diye hain din ne raat guzari hai
ruh se ruh ka mel hai yani ruhon ki parchhai mein
jism pe jism ki aaraish hai sharm ki parda-dari hai
mujh ko in kaliyon ki rangat aur ada se kya matlab
bhanwaron ki phulon se sirf hawas ki rishtedari hai
har ehsas naya ek lafz aur har ek lafz naya ehsas
jismon ki uryan taKHti par poron ki fankari hai
ishq junun hai ishq sukun hai ishq hi ranj-o-guman yani
ishq dilon ka aib nahin hai zehnon ki purkari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.