kab kisi mehrban se aati hai
kab kisī mehrbāñ se aatī hai
'aql to imtihāñ se aatī hai
us parinde ko kyā pata us kī
maut uḌ kar kamāñ se aatī hai
ḳhaak kartī hai āshiyāñ kitne
barq jab āsmāñ se aatī hai
haath dil par rakhā kahā us ne
shādmānī yahāñ se aatī hai
ujḌā ujḌā hai ye makāñ lekin
is meñ ḳhushbū kahāñ se aatī hai
jaisī rakhtā hai aadmī fitrat
sāmne vo bayāñ se aatī hai
janm dete haiñ maañ pitā lekin
maut āḳhir kahāñ se aatī hai
ghar meñ rahtī hai maañ 'nazar' jab tak
raushnī āshiyāñ se aatī hai
kab kisi mehrban se aati hai
'aql to imtihan se aati hai
us parinde ko kya pata us ki
maut uD kar kaman se aati hai
KHak karti hai aashiyan kitne
barq jab aasman se aati hai
hath dil par rakha kaha us ne
shadmani yahan se aati hai
ujDa ujDa hai ye makan lekin
is mein KHushbu kahan se aati hai
jaisi rakhta hai aadmi fitrat
samne wo bayan se aati hai
janm dete hain man pita lekin
maut aaKHir kahan se aati hai
ghar mein rahti hai man 'nazar' jab tak
raushni aashiyan se aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.