kab kisi ne ki kisi se dil ki baat
kab kisī ne kī kisī se dil kī baat
lab hilā kar ye kahā thā kah dī baat
ik na ik din tum ko aanā hai magar
aaj aate maiñ bhī kahtā apnī baat
tum ne sun lī hai zamāne kī kathā
kyā kahīñ us meñ koī thī merī baat
naam lete hī kahā us ne janāb
baad us ke us ne kī man-bhā.ī baat
un ko da.avā hai ki kahte haiñ vo sach
mujh se kyoñ kahte nahīñ vo sachchī baat
vo na aa.eñ maiñ bhī lauTā kaaf se
sabz pariyoñ kī jahāñ hotī thī baat
mujh se dīvāne ko farzāna kaho
sher meñ ho duur tak jā.egī baat
vo bhī nālāñ maiñ bhī kuchh bezār thā
darmiyāñ phir aa ga.ī ye kaisī baat
sab ko 'īraj' se hai kyūñkar dostī
vo to suntā hī nahīñ hai koī baat
kab kisi ne ki kisi se dil ki baat
lab hila kar ye kaha tha kah di baat
ek na ek din tum ko aana hai magar
aaj aate main bhi kahta apni baat
tum ne sun li hai zamane ki katha
kya kahin us mein koi thi meri baat
nam lete hi kaha us ne janab
baad us ke us ne ki man-bhai baat
un ko dawa hai ki kahte hain wo sach
mujh se kyon kahte nahin wo sachchi baat
wo na aaen main bhi lauTa kaf se
sabz pariyon ki jahan hoti thi baat
mujh se diwane ko farzana kaho
sher mein ho dur tak jaegi baat
wo bhi nalan main bhi kuchh bezar tha
darmiyan phir aa gai ye kaisi baat
sab ko 'iraj' se hai kyunkar dosti
wo to sunta hi nahin hai koi baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.