kab mere liye sham-o-sahar kaT raha hai
kab mere liye shām-o-sahar kaaT rahā hai
vo apne sarāboñ kā safar kaaT rahā hai
maiñ us ke tasavvur se nikal aaya huuñ lekin
tanhā huuñ mujhe merā hī ghar kaaT rahā hai
maiñ us kī mohabbat meñ giraftār huā huuñ
panchhī kī tarah vo mire par kaaT rahā hai
aaseb kī uljhī huī jaḌ phail rahī hai
dīvār ke siine ko shajar kaaT rahā hai
āzād to rakkhā hai mujhe ahl-e-qafas ne
ye kaun mirī soch ke par kaaT rahā hai
bāhar koī masmūm havā Dasne lagī hai
andar se mujhe dard-e-jigar kaaT rahā hai
hālāt kī maujoñ meñ mirī naav ghirī hai
pindār mirā gahrā bhañvar kaaT rahā hai
ik maiñ hī nahīñ ishq ke āzār meñ tanhā
us ko bhī mohabbat kā asar kaaT rahā hai
duniyā hai 'fahīm' aaj mire azm pe hairāñ
yuuñ vaqt mujhe bār-e-digar kaaT rahā hai
kab mere liye sham-o-sahar kaT raha hai
wo apne sarabon ka safar kaT raha hai
main us ke tasawwur se nikal aaya hun lekin
tanha hun mujhe mera hi ghar kaT raha hai
main us ki mohabbat mein giraftar hua hun
panchhi ki tarah wo mere par kaT raha hai
aaseb ki uljhi hui jaD phail rahi hai
diwar ke sine ko shajar kaT raha hai
aazad to rakkha hai mujhe ahl-e-qafas ne
ye kaun meri soch ke par kaT raha hai
bahar koi masmum hawa Dasne lagi hai
andar se mujhe dard-e-jigar kaT raha hai
haalat ki maujon mein meri naw ghiri hai
pindar mera gahra bhanwar kaT raha hai
ek main hi nahin ishq ke aazar mein tanha
us ko bhi mohabbat ka asar kaT raha hai
duniya hai 'fahim' aaj mere azm pe hairan
yun waqt mujhe bar-e-digar kaT raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.