kab milta hai sukh-chain hamein kab gham se rihai hoti hai
kab milta hai sukh-chain hamein kab gham se rihai hoti hai
Ameer Chand Bahar
MORE BYAmeer Chand Bahar
kab miltā hai sukh-chain hameñ kab ġham se rihā.ī hotī hai
har vaqt kaleja phuñktā hai lab par jaan aa.ī hotī hai
har vaqt hai dil meñ yaad tirī nazroñ meñ tere jalve haiñ
man-mandir meñ rahne vaale kab tujh se judā.ī hotī hai
chupke se bazm-e-tasavvur meñ rātoñ ko koī aa jaatā hai
baḌh jaatī hai raunaq-e-bazm-e-dil jis dam tanhā.ī hotī hai
tum kyā samjho tum kyā jaano chhalnī dil kaise hote haiñ
ye dard-e-mohabbat kyā shai hai kyā chiiz judā.ī hotī hai
le de ke faqat ik dil hī thā so vo bhī kisī ne luuT liyā
duniyā meñ nahīñ kuchh bhī apnā har chiiz parā.ī hotī hai
tap tap kar fikr kī bhaTTī meñ ash.ār jo dil se nikalte haiñ
vo sehr-e-mujassam hote haiñ un meñ ra.anā.ī hotī hai
jis desh meñ gangā bahtī hai us des ke baasī paapī haiñ
hotī hai jang zabānoñ par maz.hab pe laḌā.ī hotī hai
duniyā meñ 'bahār' sharāfat kā koī bhī nahīñ pursāñ hotā hai
makkāroñ dhoka-bāzoñ kī ab to shunavā.ī hotī hai
kab milta hai sukh-chain hamein kab gham se rihai hoti hai
har waqt kaleja phunkta hai lab par jaan aai hoti hai
har waqt hai dil mein yaad teri nazron mein tere jalwe hain
man-mandir mein rahne wale kab tujh se judai hoti hai
chupke se bazm-e-tasawwur mein raaton ko koi aa jata hai
baDh jati hai raunaq-e-bazm-e-dil jis dam tanhai hoti hai
tum kya samjho tum kya jaano chhalni dil kaise hote hain
ye dard-e-mohabbat kya shai hai kya chiz judai hoti hai
le de ke faqat ek dil hi tha so wo bhi kisi ne luT liya
duniya mein nahin kuchh bhi apna har chiz parai hoti hai
tap tap kar fikr ki bhaTTi mein ashaar jo dil se nikalte hain
wo sehr-e-mujassam hote hain un mein ranai hoti hai
jis desh mein ganga bahti hai us des ke basi papi hain
hoti hai jang zabanon par mazhab pe laDai hoti hai
duniya mein 'bahaar' sharafat ka koi bhi nahin pursan hota hai
makkaron dhoka-bazon ki ab to shunawai hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.