kab mujhe ishq ke anjam se Dar lagta hai
kab mujhe ishq ke anjām se Dar lagtā hai
dil-e-muztar tire hangām se Dar lagtā hai
shauq jiine kā hai mujh ko bhī bahut hai lekin
zindagānī tire ālām se Dar lagtā hai
hijr se ban gayā hai utnā qarībī rishta
ab to ai vasl tire naam se Dar lagtā hai
achchhī lagtī thī hameñ shaam tire hote hue
aaj to hijr bharī shaam se Dar lagtā hai
ḳhaak ho jaa.eñ na jal kar kahīñ jazbāt-e-vafā
dil meñ uThte hue kohrām se Dar lagtā hai
do qadam bhī mire hamrāh nahīñ chal sakte
vo jinheñ gardish-e-ayyām se Dar lagtā hai
ham ko to apnī samajh hī nahīñ aatī logo
ham vo gul haiñ jinheñ 'gulfām' se Dar lagtā hai
kab mujhe ishq ke anjam se Dar lagta hai
dil-e-muztar tere hangam se Dar lagta hai
shauq jine ka hai mujh ko bhi bahut hai lekin
zindagani tere aalam se Dar lagta hai
hijr se ban gaya hai utna qaribi rishta
ab to ai wasl tere nam se Dar lagta hai
achchhi lagti thi hamein sham tere hote hue
aaj to hijr bhari sham se Dar lagta hai
KHak ho jaen na jal kar kahin jazbaat-e-wafa
dil mein uThte hue kohram se Dar lagta hai
do qadam bhi mere hamrah nahin chal sakte
wo jinhen gardish-e-ayyam se Dar lagta hai
hum ko to apni samajh hi nahin aati logo
hum wo gul hain jinhen 'gulfam' se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.