kab qahr se aashob-e-zamana se Dari hun
kab qahr se aashob-e-zamana se Dari hun
Haleema Sadiya Shagufta
MORE BYHaleema Sadiya Shagufta
kab qahr se āshob-e-zamāna se Darī huuñ
kab paanī ke hamrāh maiñ tinke sī bahī huuñ
rasta baḌā pur-ḳhār hai par jān-e-tamannā
maiñ ābla-pā saath rahī saath chalī huuñ
kab rok sake mere azā.em koī tūfāñ
chaTTān huuñ talvār ke saa.e meñ palī huuñ
jo rok sako rok lo is jazb-e-junūñ ko
ūñche khaḌe parbat se na tūfāñ se rukī huuñ
ḳhvāboñ kī tarāzū pe mujhe tolne vaale
maiñ ḳhvāb nahīñ ek haqīqat kī kaḌī huuñ
mujh se mirā gul chhīn sake kaun 'shagufta'
majbūr thī kal aaj maiñ pairoñ pe khaḌī huuñ
kab qahr se aashob-e-zamana se Dari hun
kab pani ke hamrah main tinke si bahi hun
rasta baDa pur-KHar hai par jaan-e-tamanna
main aabla-pa sath rahi sath chali hun
kab rok sake mere azaem koi tufan
chaTTan hun talwar ke sae mein pali hun
jo rok sako rok lo is jazb-e-junun ko
unche khaDe parbat se na tufan se ruki hun
KHwabon ki taraazu pe mujhe tolne wale
main KHwab nahin ek haqiqat ki kaDi hun
mujh se mera gul chhin sake kaun 'shagufta'
majbur thi kal aaj main pairon pe khaDi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.