kab qalandar bhala ghar jata hai
kab qalandar bhalā ghar jaatā hai
ai dil-e-vahshī kidhar jaatā hai
zer-e-par rakhte hī minqār-e-talab
mausam-e-kashf guzar jaatā hai
kyā tamāsha hai ki maidān-e-vujūd
apnī takrār se bhar jaatā hai
mere andar kā saḳhī ibn-e-saḳhī
vaqt paḌne pe mukar jaatā hai
raat idhar aa.ī udhar banda-e-ġham
mimbar-e-jāñ se utar jaatā hai
ek qisse ke javāñ hote hī
ek kirdār guzar jaatā hai
kyā qayāmat hai tirā husn-e-‘adam
sūrat-e-kun se bikhar jaatā hai
kab qalandar bhala ghar jata hai
ai dil-e-wahshi kidhar jata hai
zer-e-par rakhte hi minqar-e-talab
mausam-e-kashf guzar jata hai
kya tamasha hai ki maidan-e-wujud
apni takrar se bhar jata hai
mere andar ka saKHi ibn-e-saKHi
waqt paDne pe mukar jata hai
raat idhar aai udhar banda-e-gham
mimbar-e-jaan se utar jata hai
ek qisse ke jawan hote hi
ek kirdar guzar jata hai
kya qayamat hai tera husn-e-‘adam
surat-e-kun se bikhar jata hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 29)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.