kab samundar hun kahan dariya hun main
kab samundar huuñ kahāñ dariyā huuñ maiñ
apne hī kirdār meñ Duubā huuñ maiñ
merī fitrat hai sadāqat kī amiiñ
sach ko sach kahne se kab jhijkā huuñ maiñ
raat din kyoñ ho ta'āqub meñ mire
chhū na pāoge bahut ūñchā huuñ maiñ
jis kahānī kā maiñ ik kirdār thā
vo kahānī ab samajh paayā huuñ maiñ
saarī duniyā ik taraf maiñ ik taraf
lo ḳharīdo kis qadar sastā huuñ maiñ
aaj bhī insāniyat ke naam par
mil ke ik insān se royā huuñ maiñ
toḌnā yuuñ mujh ko mushkil hai 'atīq'
sach kī ūñchī shāḳh pe phaltā huuñ maiñ
kab samundar hun kahan dariya hun main
apne hi kirdar mein Duba hun main
meri fitrat hai sadaqat ki amin
sach ko sach kahne se kab jhijka hun main
raat din kyon ho ta'aqub mein mere
chhu na paoge bahut uncha hun main
jis kahani ka main ek kirdar tha
wo kahani ab samajh paya hun main
sari duniya ek taraf main ek taraf
lo KHarido kis qadar sasta hun main
aaj bhi insaniyat ke nam par
mil ke ek insan se roya hun main
toDna yun mujh ko mushkil hai 'atiq'
sach ki unchi shaKH pe phalta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.