kab sawa neze pe suraj aaega
kab savā neze pe sūraj aa.egā
kyā tirā va.ada dharā rah jā.egā
gaañv ko chaT kar ga.ī nafrat kī aag
kyoñ na ab sailāb dhokā khā.egā
vo gharauñde ko samajh baiThā hai ghar
mujh se mil kar be-makāñ ho jā.egā
ab ḳhudā kā fazl apne saath hai
achchhe achchhoñ ko pasīna aa.egā
be-kasī kī aañkh meñ aañsū kahāñ
ḳhuun kā mausam lahū rulvā.egā
siskiyoñ ke kārvāñ kī baat kyā
us kā rishta bhī havā ho jā.egā
radio aḳhbār T v sab ġhalat
merā fan baḌh kar mujhe manvā.egā
fāsla apnā muqaddar hai 'qarār'
paañv roke se bhī kyā haath aa.egā
kab sawa neze pe suraj aaega
kya tera wada dhara rah jaega
ganw ko chaT kar gai nafrat ki aag
kyon na ab sailab dhoka khaega
wo gharaunde ko samajh baiTha hai ghar
mujh se mil kar be-makan ho jaega
ab KHuda ka fazl apne sath hai
achchhe achchhon ko pasina aaega
be-kasi ki aankh mein aansu kahan
KHun ka mausam lahu rulwaega
siskiyon ke karwan ki baat kya
us ka rishta bhi hawa ho jaega
radio aKHbar T w sab ghalat
mera fan baDh kar mujhe manwaega
fasla apna muqaddar hai 'qarar'
panw roke se bhi kya hath aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.