kab se baiTha hun iltija ke liye
kab se baiThā huuñ iltijā ke liye
sun lo do bāteñ ab ḳhudā ke liye
faiz-e-māshūq āshiqoñ ko kyā
nik.hat-e-zulf hai sabā ke liye
nā-tavānī meñ nā-tavānī hai
haath uThte nahīñ duā ke liye
ḳhair hai kuchh to is meñ jo chup huuñ
muñh na khulvā.iye ḳhudā ke liye
kyā dil-e-nā-subūr le jā.ūñ
nigah-e-sabr-āzmā ke liye
dar-e-jānāñ kī ḳhaak hai iksīr
dil-e-bīmār kī shifā ke liye
sog meñ dil ke diide phuuT rahe
āshnā ro.e āshnā ke liye
bhes badle hue raqīb kā aaj
maiñ chalā arz-e-mudda.ā ke liye
is taġhāful kī intihā hī nahīñ
koī had chāhiye sazā ke liye
vo bahut munfa.il haiñ dekho 'ḳhayāl'
chhoḌūñ shikvoñ ko ab ḳhudā ke liye
kab se baiTha hun iltija ke liye
sun lo do baaten ab KHuda ke liye
faiz-e-mashuq aashiqon ko kya
nikhat-e-zulf hai saba ke liye
na-tawani mein na-tawani hai
hath uThte nahin dua ke liye
KHair hai kuchh to is mein jo chup hun
munh na khulwaiye KHuda ke liye
kya dil-e-na-subur le jaun
nigah-e-sabr-azma ke liye
dar-e-jaanan ki KHak hai iksir
dil-e-bimar ki shifa ke liye
sog mein dil ke dide phuT rahe
aashna roe aashna ke liye
bhes badle hue raqib ka aaj
main chala arz-e-muddaa ke liye
is taghaful ki intiha hi nahin
koi had chahiye saza ke liye
wo bahut munfail hain dekho 'KHayal'
chhoDun shikwon ko ab KHuda ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.