kab se hain mahrum ye shaKHen patton se
kab se haiñ mahrūm ye shāḳheñ pattoñ se
āñgan meñ do peḌ haiñ sūkhe barsoñ se
album se tasvīr kā rishta ḳhatm karo
ḳhud ko dhokā doge kab tak chehroñ se
sun kar darvāze se vo merī bāteñ
lauT gayā hai shāyad dhīme qadmoñ se
merī aañkh savere hī khul jaatī hai
peḌ pe shor machātī huī gaurayyoñ se
dīvāroñ ke aaḌ meñ rakhnā Thiik nahīñ
jal jaate haiñ ghar 'jāved' charāġhoñ se
kab se hain mahrum ye shaKHen patton se
aangan mein do peD hain sukhe barson se
album se taswir ka rishta KHatm karo
KHud ko dhoka doge kab tak chehron se
sun kar darwaze se wo meri baaten
lauT gaya hai shayad dhime qadmon se
meri aankh sawere hi khul jati hai
peD pe shor machati hui gaurayyon se
diwaron ke aaD mein rakhna Thik nahin
jal jate hain ghar 'jawed' charaghon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.