kab se hun muntazir ki bula le qaza mujhe
kab se hun muntazir ki bula le qaza mujhe
Santosh Purswani Sant
MORE BYSantosh Purswani Sant
kab se huuñ muntazir ki bulā le qazā mujhe
par chhoḌtī nahīñ ye badan kī qabā mujhe
apne laboñ pe sar kī tarah tū sajā mujhe
naġhma huuñ tere pyaar kā tū gungunā mujhe
maiñ ne hī tujh se tark kiye the ta'alluqāt
ab ḳhuuñ rulā rahā hai mirā faisla mujhe
dīpak kī tarah kab se tire intizār meñ
jal jal ke thak gayā huuñ tū aa kar bujhā mujhe
bāhar se hañs rahā huuñ magar tere hijr ne
andar se kar diyā hai bahut khokhlā mujhe
muddat ke baa'd ghar jo maiñ aaya huuñ lauT kar
hairat se dekhtā hai bahut aa.ina mujhe
rotā huuñ jāgtā huuñ sisaktā huuñ rāt-bhar
kis jurm kī milī hai ye āḳhir sazā mujhe
jī chāhtā hai chīḳh paḌūñ apne haal par
ḳhāmoshiyāñ na kar de kahīñ be-sadā mujhe
raġhbat sī ho ga.ī hai kuchh apne hī marz se
ai chārāgar na de tū koī ab davā mujhe
merā akelā-pan hī mujhe maar Dāltā
miltā na shā.erī kā agar aasrā mujhe
daur-e-hayāt ne to na chhoḌī kasar koī
ik 'sant' thā jo detā rahā hausla mujhe
kab se hun muntazir ki bula le qaza mujhe
par chhoDti nahin ye badan ki qaba mujhe
apne labon pe sar ki tarah tu saja mujhe
naghma hun tere pyar ka tu gunguna mujhe
main ne hi tujh se tark kiye the ta'alluqat
ab KHun rula raha hai mera faisla mujhe
dipak ki tarah kab se tere intizar mein
jal jal ke thak gaya hun tu aa kar bujha mujhe
bahar se hans raha hun magar tere hijr ne
andar se kar diya hai bahut khokhla mujhe
muddat ke ba'd ghar jo main aaya hun lauT kar
hairat se dekhta hai bahut aaina mujhe
rota hun jagta hun sisakta hun raat-bhar
kis jurm ki mili hai ye aaKHir saza mujhe
ji chahta hai chiKH paDun apne haal par
KHamoshiyan na kar de kahin be-sada mujhe
raghbat si ho gai hai kuchh apne hi marz se
ai chaaragar na de tu koi ab dawa mujhe
mera akela-pan hi mujhe mar Dalta
milta na shaeri ka agar aasra mujhe
daur-e-hayat ne to na chhoDi kasar koi
ek 'sant' tha jo deta raha hausla mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.