kab sune zanjir mujh majruh diwane ki arz
kab sune zanjir mujh majruh diwane ki arz
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
kab sune zanjīr mujh majrūh dīvāne kī arz
niiñ pahuñchtī kaan tak us zulf ke shāne kī arz
garmī ahl-e-bazm se mat kar ki maiñ hotā huuñ daaġh
sham.a kī ḳhidmat meñ hai itnī hī parvāne kī arz
shīsha mujh dil sā na paave aur tirī āñkhoñ sā jaam
le agar saaqī hazāroñ saal maiḳhāne kī arz
dil ko vīrāñ mat karo ye hai junūñ kā pā-e-taḳht
ai parī-zādoñ kabhū suniye bhī dīvāne kī arz
fasl jaatī hai 'yaqīñ' aur bāġhbāñ se ek yaar
koī kartā niiñ hamāre baaġh meñ jaane kī arz
kab sune zanjir mujh majruh diwane ki arz
nin pahunchti kan tak us zulf ke shane ki arz
garmi ahl-e-bazm se mat kar ki main hota hun dagh
shama ki KHidmat mein hai itni hi parwane ki arz
shisha mujh dil sa na pawe aur teri aankhon sa jam
le agar saqi hazaron sal maiKHane ki arz
dil ko viran mat karo ye hai junun ka pa-e-taKHt
ai pari-zadon kabhu suniye bhi diwane ki arz
fasl jati hai 'yaqin' aur baghban se ek yar
koi karta nin hamare bagh mein jaane ki arz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.