kab tabiat ko ras aae hain
kab tabī.at ko raas aa.e haiñ
ye jo dil par ġhamoñ ke saa.e haiñ
rahzanoñ se nahīñ koī shikva
rahbaroñ se fareb khaa.e haiñ
sard rātoñ meñ sard aahoñ ne
ashk āñkhoñ hī meñ jamā.e haiñ
chāñdnī ne safed maḳhmal par
aaj jaadū ka.ī jagā.e haiñ
haif ye niyyatoñ ke khoTe log
aap hī apnā ghar jalā.e haiñ
vaqt kī kyā sitam-zarīfī hai
jo the apne vahī parā.e haiñ
merī himmat ko marhabā kahiye
āñdhiyoñ meñ diye jalā.e haiñ
'nāz' tārīkī-e-tavahhum meñ
ilm hī ne diye jalā.e haiñ
kab tabiat ko ras aae hain
ye jo dil par ghamon ke sae hain
rahzanon se nahin koi shikwa
rahbaron se fareb khae hain
sard raaton mein sard aahon ne
ashk aankhon hi mein jamae hain
chandni ne safed maKHmal par
aaj jadu kai jagae hain
haif ye niyyaton ke khoTe log
aap hi apna ghar jalae hain
waqt ki kya sitam-zarifi hai
jo the apne wahi parae hain
meri himmat ko marhaba kahiye
aandhiyon mein diye jalae hain
'naz' tariki-e-tawahhum mein
ilm hi ne diye jalae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.