kab tak ai shoKH jafa-pesha-e-gulfam nahin
kab tak ai shoKH jafa-pesha-e-gulfam nahin
Sayyad Ameer Hasan Badr
MORE BYSayyad Ameer Hasan Badr
kab tak ai shoḳh jafā-pesha-e-gulfām nahīñ
din nahīñ raat nahīñ sub.h nahīñ shaam nahīñ
bhūltā yaad jo terī dil-e-nākām nahīñ
mujh ko turbat meñ pas-e-marg bhī ārām nahīñ
barq kī tarah taḌapne ke sivā kaam nahīñ
dil-e-betāb ko mere kabhī ārām nahīñ
bā.is-e-josh-e-junūñ zulf-e-siyah-fām nahīñ
vahshat-angez badaḳhshāñ kī magar shaam nahīñ
nik.hat-e-gul kī tarah āshiq-e-vārasta mizāj
basta-e-silsila-e-gardish-e-ayyām nahīñ
ḳhidmateñ lete ho kyoñ ġhair se har sub.h-o-masā
aap ke kaam kā kyā āshiq-e-nākām nahīñ
haath se silsila-e-josh-e-junūñ chhūT gayā
sar ko jis din se sar-e-zulf-e-siyah-fām nahīñ
shikva-e-pīr-e-muġhāñ sun ke jo yuuñ pī jaa.e
aisā be-ḳhud to koī rind-e-mai-āshām nahīñ
ġhair se bigḌe haiñ ġhusse meñ bhare baiThe haiñ
arz-e-hāl-e-dil-e-muztar kā ye hangām nahīñ
ḳhuun lene se ye saudā kahīñ kam hotā hai
puḳhta-maġhzoñ kā junūñ chāragaro ḳhaam nahīñ
hai lab-e-bām vo ḳhurshīd-laqā jalva-farosh
diid kā izn magar haa.e ġhazab aam nahīñ
bulbul-e-zamzama-sanj-e-dil-e-āshiq ko hai daam
ruḳh pe bikhrī huī vo zulf-e-siyah-fām nahīñ
hai parastish but-e-pindār kī har sub.h-o-masā
aap bhī shaiḳh jī kyā banda-e-asnām nahīñ
gardish-e-qismat-e-nā-sāz kā shikva hai mujhe
mujh ko hargiz gila-e-gardish-e-ayyām nahīñ
jis qadar chāhe kare gor kā vo aaj shikār
gor se bhaag ke bach jā.egā bahrām nahīñ
gor hī gor kī bhī raah dikhā.egā tujhe
kyā ḳhabar is kī tujhe pahle se bahrām nahīñ
shab-e-hijrāñ kī nahīñ hotī hai jis tarah sahar
roz-e-furqat kī bhī ai 'badr' kabhī shaam nahīñ
kab tak ai shoKH jafa-pesha-e-gulfam nahin
din nahin raat nahin subh nahin sham nahin
bhulta yaad jo teri dil-e-nakaam nahin
mujh ko turbat mein pas-e-marg bhi aaram nahin
barq ki tarah taDapne ke siwa kaam nahin
dil-e-betab ko mere kabhi aaram nahin
bais-e-josh-e-junun zulf-e-siyah-fam nahin
wahshat-angez badaKHshan ki magar sham nahin
nikhat-e-gul ki tarah aashiq-e-warasta mizaj
basta-e-silsila-e-gardish-e-ayyam nahin
KHidmaten lete ho kyon ghair se har subh-o-masa
aap ke kaam ka kya aashiq-e-nakaam nahin
hath se silsila-e-josh-e-junun chhuT gaya
sar ko jis din se sar-e-zulf-e-siyah-fam nahin
shikwa-e-pir-e-mughan sun ke jo yun pi jae
aisa be-KHud to koi rind-e-mai-asham nahin
ghair se bigDe hain ghusse mein bhare baiThe hain
arz-e-haal-e-dil-e-muztar ka ye hangam nahin
KHun lene se ye sauda kahin kam hota hai
puKHta-maghzon ka junun chaaragaro KHam nahin
hai lab-e-baam wo KHurshid-laqa jalwa-farosh
did ka izn magar hae ghazab aam nahin
bulbul-e-zamzama-sanj-e-dil-e-ashiq ko hai dam
ruKH pe bikhri hui wo zulf-e-siyah-fam nahin
hai parastish but-e-pindar ki har subh-o-masa
aap bhi shaiKH ji kya banda-e-asnam nahin
gardish-e-qismat-e-na-saz ka shikwa hai mujhe
mujh ko hargiz gila-e-gardish-e-ayyam nahin
jis qadar chahe kare gor ka wo aaj shikar
gor se bhag ke bach jaega bahram nahin
gor hi gor ki bhi rah dikhaega tujhe
kya KHabar is ki tujhe pahle se bahram nahin
shab-e-hijran ki nahin hoti hai jis tarah sahar
roz-e-furqat ki bhi ai 'badr' kabhi sham nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.